Tuesday, September 9, 2008

Uski gali mein fir mujhe...

Updating the lyrics, the correct lyrics were provided to me by Mr. Sameer Kabir.
Thanks Sameer.

**********

koi lay jatha hain us thak na kazaa aati hain
aap ho kar mujhe jane mein hyaa aati hain
Majboor karke muj ko mere yaar le chalo,
Uski gali mein phir mujhey ek baar le chalo.

Shayad ye mera weham ho mera khayal ho,
Mumkin ho mere baad se mera malaal ho,
Pachta raha ho ab mujhey darr se utha ke woh,
Baitha ho meri raah me aankhein beecha ke woh,
Usne bi to kiya tha mujhey pyar le chalo,
Uski gali mein phir mujhey ek baar le chalo.


AB us gali mein koii na aayega mere baad,
Us darr pe khoon kaun bahayega mere baad,
Mainey to sang o khisht se takra ke apna sir,
Gulnaar kar diye the lahoo se woh baam o darr,
Phir muntazir hai woh darr o deewar le chalo,
Uski gali mein phir mujhey mere yaar le chalo.

Woh jisne mere sene ko zakmoh se bhar diya
Chudwa ke apna dar mujhey dar dar ka kar diya
Mana ke us ke zulm- o- sitam se hu neem jan
Phir bhi mein sakht jan hoon pohunch jaonga wahan
Sau bar jaonga muchey sau bar le chalo
Uski gali mein phir mujhey mere yaar le chalo.


Diwana keh ke logone har bath taal de
Duniya ne mere paun me zanjeer daal de
Chahu to aaj mera mukadder sanwaar do
Yaroon ye mere paun ki bedi utaar do
Yaa kheechte hui sare bazaar le chalo
Uski gali mein phir mujhey mere yaar le chalo.


Ay sar phiri hawaon ! Tumhi rukh ko pher do
Zaroo ke tarha much ko fizaa mein bhikher do
bahoown mein phir meri hasti samet kar
Pholoon ki khushbuon ke kafan mein lapet kar
metti meri saja ke dare yaar le chalo
Uski gali mein phir muhey mere yaar le chalo.

Uski gali ko jaanta pehchanta hoon main,
Woh meri qatlgaah hai ye maanta hoon main,
Uski gali me maut muqaddar ki baat hai,
”Shahid” ye maut ahl-e-wafa ki hayat hai,
Main khud bhi to maut ka hoon talabgaar le chalo,
Uski gali mein phir muhey mere yaar le chalo.

~ Lyrics “Shahid Kabir”