Sunday, May 11, 2008

Tere milne ki chaah mein...

Tere milne ki chaah mein e humdum..
Ab to hai shaam bhi deewani..
Dhalte suraj ke jaam ko piye ja raha huin...
Naach rahi hai dariya mastani..

Aa ke ab nahi hota intezaar..
Aa ke kab aayegi bahaar..
Aaja ke dil ka jaam bhara hai..
Tere pyaar mein deewana deewano sa khada hai..

Har taraf teri hi dhun si sunti hai..
Koyal ab tere hi gaane bunti hai..
Chalak rahe hain in aankhon se tere ras ke pyaale..
Aaa nahi to jaane waalen hain ab tere chaahne waale..

Dekhta huin jidhar to dikhti hai teri hi parchaayi..
Ab nahi lagti ye tanhaayi jaise koi tanhaayi..
Aa ja tere gaano se mehfil saji hai..
Aa ja teri rah mein ye saanse adi hain..

2 comments:

Anonymous said...

bahut dinon baad!!

bahut intezaar karaya aapne!

ummeed hai agli arzi jald hi padhne ko milegi!!


-gumnaam shayar

aman said...

anshuuu!!
bade dino baad suni aapki aawaz
likhte rahiye..doston ki khatir :)